mirī navā mirī tadbīr tak nahīñ pahuñchī
ye mere ḳhvāb kī ta.abīr tak nahīñ pahuñchī
tire jamāl kā partav aziiz hai lekin
tirī adā tirī tasvīr tak nahīñ pahuñchī
yahī bahut hai ki ham manziloñ se ho aa.e
hamārī kaj-ravī tāḳhīr tak nahīñ pahuñchī
kamāñ se kaisī shikāyat ki vo hai nā-bīnā
hadaf kī be-nigahī tiir tak nahīñ pahuñchī
hamāre dil se uThī hausla-shikan āvāz
magar ye paañv kī zanjīr tak nahīñ pahuñchī
sisak rahī hai jo dahlīz-ḳhāna meñ dīmak
hazār shukr ki shahtīr tak nahīñ pahuñchī
havā meñ uThte rahe haath be-sabab 'mohsin'
chamak duāoñ kī tāsīr tak nahīñ pahuñchī
meri nawa meri tadbir tak nahin pahunchi
ye mere KHwab ki tabir tak nahin pahunchi
tere jamal ka partaw aziz hai lekin
teri ada teri taswir tak nahin pahunchi
yahi bahut hai ki hum manzilon se ho aae
hamari kaj-rawi taKHir tak nahin pahunchi
kaman se kaisi shikayat ki wo hai na-bina
hadaf ki be-nigahi tir tak nahin pahunchi
hamare dil se uThi hausla-shikan aawaz
magar ye panw ki zanjir tak nahin pahunchi
sisak rahi hai jo dahliz-KHana mein dimak
hazar shukr ki shahtir tak nahin pahunchi
hawa mein uThte rahe hath be-sabab 'mohsin'
chamak duaon ki tasir tak nahin pahunchi
Source :
- Book : Sukhan sukhan mehtaab (Pg. 198)
- Author : Mohsin Ehsaan
-
Publication : Aziz ahmed Khan
(2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.