meri nazar ki tarah dil parind ojhal hai
mirī nazar ki tarah dil parind ojhal hai
har ek ḳhvāb kā hāsil parind ojhal hai
shajar jo kah na sake āsmāñ vahī sun le
yaqīñ hai vahm kī manzil parind ojhal hai
shafaq shafaq vahī surḳhī uḌaan kī ta.abīr
ufuq ufuq vahī mahfil parind ojhal hai
sadā meñ samt nahīñ bāzgasht lā-mahdūd
safar kī shart meñ shāmil parind ojhal hai
bhañvar kā kaam jazīre ko varġhalānā thā
dhuāñ dhuāñ lab-e-sāhil parind ojhal hai
meri nazar ki tarah dil parind ojhal hai
har ek KHwab ka hasil parind ojhal hai
shajar jo kah na sake aasman wahi sun le
yaqin hai wahm ki manzil parind ojhal hai
shafaq shafaq wahi surKHi uDan ki tabir
ufuq ufuq wahi mahfil parind ojhal hai
sada mein samt nahin bazgasht la-mahdud
safar ki shart mein shamil parind ojhal hai
bhanwar ka kaam jazire ko warghalana tha
dhuan dhuan lab-e-sahil parind ojhal hai
- Book : Aiwan (Pg. 56)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.