meri nazron mein duniya thi magar andar thi tanhai
mirī nazroñ meñ duniyā thī magar andar thī tanhā.ī
sar-e-manzar thā hangāma pas-e-manzar thī tanhā.ī
paḌhī thī mai-kadoñ ke shor kī har dāstāñ ham ne
magar is shor meñ paivast fitna-gar thī tanhā.ī
havā.eñ ḳhush-gumānī kī bulāne aa.iiñ thiiñ lekin
udāsī paañv jakḌe thī shikasta-par thī tanhā.ī
sajī thī ḳhāna-e-dil kī har ik dīvār yādoñ se
bahut pur-soz se lahje meñ naġhma-gar thī tanhā.ī
ḳhizāñ-ālūd shāḳhoñ par parinde bhī nahīñ aa.e
isī be-sā.ebānī meñ barahna-sar thī tanhā.ī
mire nazdīk sab chehroñ pe ḳhushiyāñ thiiñ ta'alluq thā
magar āñkhoñ kī tah meñ vasvasoñ se tar thī tanhā.ī
junūñ thā vahshateñ thiiñ ābla-pā.ī thī hasrat thī
'hinā' dasht-e-mohabbat meñ bahut muztar thī tanhā.ī
meri nazron mein duniya thi magar andar thi tanhai
sar-e-manzar tha hangama pas-e-manzar thi tanhai
paDhi thi mai-kadon ke shor ki har dastan hum ne
magar is shor mein paiwast fitna-gar thi tanhai
hawaen KHush-gumani ki bulane aain thin lekin
udasi panw jakDe thi shikasta-par thi tanhai
saji thi KHana-e-dil ki har ek diwar yaadon se
bahut pur-soz se lahje mein naghma-gar thi tanhai
KHizan-alud shaKHon par parinde bhi nahin aae
isi be-saebani mein barahna-sar thi tanhai
mere nazdik sab chehron pe KHushiyan thin ta'alluq tha
magar aankhon ki tah mein waswason se tar thi tanhai
junun tha wahshaten thin aabla-pai thi hasrat thi
'hina' dasht-e-mohabbat mein bahut muztar thi tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.