meri nigah ki kirnon se jab naha jae
mirī nigāh kī kirnoñ se jab nahā jaa.e
tum us ko dekho to bas dekhte rahā jaa.e
kisī ke ġham ke sahāre hī jī liyā jaa.e
jo ye bhī paas na hove to kyā kiyā jaa.e
tumhāre hoñToñ pe taale mirī zabān pe muhr
chalo latā kā koī giit hī sunā jaa.e
ye peḌ bāñjh hai mā'lūm hai hameñ lekin
jo phal nahīñ haiñ to phir phuul hī chunā jaa.e
haqīqatoñ se to din raat paalā paḌtā hai
kabhī kabhī koī afsāna bhī sunā jaa.e
na mar hī jaatā hai vo aur na jī hī paatā hai
'ajīb shaḳhs hai bas sūkhtā chalā jaa.e
ye baḌhte log ye sukḌā huā hayāt kā ghar
kaho ki ab ke kisī aur ghar ḳhudā jaa.e
kabhī to utre koī dil ke suune āñgan meñ
pighaltī āñkhoñ meñ ik ḳhvāb to samā jaa.e
bulandiyoñ pe to ik 'umr kaaT dī maiñ ne
kabhī kabhī kisī pastī meñ bhī girā jaa.e
har ek aañkh pighaltī hī jaatī hai 'badnām'
har ek chehra dhuāñ hī dhuāñ huā jaa.e
meri nigah ki kirnon se jab naha jae
tum us ko dekho to bas dekhte raha jae
kisi ke gham ke sahaare hi ji liya jae
jo ye bhi pas na howe to kya kiya jae
tumhaare honTon pe tale meri zaban pe muhr
chalo lata ka koi git hi suna jae
ye peD banjh hai ma'lum hai hamein lekin
jo phal nahin hain to phir phul hi chuna jae
haqiqaton se to din raat pala paDta hai
kabhi kabhi koi afsana bhi suna jae
na mar hi jata hai wo aur na ji hi pata hai
'ajib shaKHs hai bas sukhta chala jae
ye baDhte log ye sukDa hua hayat ka ghar
kaho ki ab ke kisi aur ghar KHuda jae
kabhi to utre koi dil ke sune aangan mein
pighalti aankhon mein ek KHwab to sama jae
bulandiyon pe to ek 'umr kaT di main ne
kabhi kabhi kisi pasti mein bhi gira jae
har ek aankh pighalti hi jati hai 'badnam'
har ek chehra dhuan hi dhuan hua jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.