meri nigah ko ai kash ye hunar aae
mirī nigāh ko ai kaash ye hunar aa.e
maiñ aañkh band karūñ aur vo nazar aa.e
hameñ na pyaas kī shiddat na kuchh thakan kā gila
ai zindagī tire sahrā se ham guzar aa.e
tumhārī talḳh-kalāmī se jī udaas huā
jo bhar chuke the mire zaḳhm phir ubhar aa.e
sahn meñ baiTh ke ham phir hañsī mazāq kareñ
ḳhudā kare kabhī mausam vo lauT kar aa.e
bhigo rahī thī kabhī jis kī yaad kī bārish
vo dhuup ban ke mire sahn meñ utar aa.e
meri nigah ko ai kash ye hunar aae
main aankh band karun aur wo nazar aae
hamein na pyas ki shiddat na kuchh thakan ka gila
ai zindagi tere sahra se hum guzar aae
tumhaari talKH-kalami se ji udas hua
jo bhar chuke the mere zaKHm phir ubhar aae
sahn mein baiTh ke hum phir hansi mazaq karen
KHuda kare kabhi mausam wo lauT kar aae
bhigo rahi thi kabhi jis ki yaad ki barish
wo dhup ban ke mere sahn mein utar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.