meri nigah mein hai KHak sim-o-zar ka fusun
mirī nigāh meñ hai ḳhaak sīm-o-zar kā fusūñ
subūt-e-mo.ajiza-e-raftagān-e-ālam huuñ
diyā hai mujh ko magar be-surūr hañgāma
milā hai mujh ko magar vaqf-e-iztirāb-e-sukūñ
na chāñd meñ hai chamak apnī aur na shabnam meñ
karūñ to kis kā zamāne meñ e'tibār karūñ
jo dil meñ baat hai alfāz meñ nahīñ aatī
so ek baat hai dil kī lagī kahūñ na kahūñ
sazā hai merī raho us dayār meñ ki jahāñ
garāñ hai āb-e-musaffā magar hai arzāñ ḳhuuñ
savāl-e-aql vahī hai javāb-e-jehl vahī
hazār baar karūñ das hazār baar sunūñ
ḳhafā hai rañg-e-gul-o-mauja-e-sabā mujh se
ki bāñdhtā huuñ dil-e-be-qarār kā mazmūñ
mujhe to apne pe ik lamha e'tibār nahīñ
nigār-e-dahr tujhe garche bā-vafā samjhūñ
hazār rāste pinhāñ haiñ reg-e-sahrā meñ
jo dam meñ dam ho to is dasht kī havā dekhūñ
khulā hai āl-e-mohammad ke faiz se mujh par
ki aadmī ko bhī hai iḳhtiyār-e-kun-fayakūñ
buland ba.ad-e-shahādat bhī hai ye nok-e-sināñ
sar-e-imām kisī haal bhī nahīñ hai nigūñ
meri nigah mein hai KHak sim-o-zar ka fusun
subut-e-moajiza-e-raftagan-e-alam hun
diya hai mujh ko magar be-surur hangama
mila hai mujh ko magar waqf-e-iztirab-e-sukun
na chand mein hai chamak apni aur na shabnam mein
karun to kis ka zamane mein e'tibar karun
jo dil mein baat hai alfaz mein nahin aati
so ek baat hai dil ki lagi kahun na kahun
saza hai meri raho us dayar mein ki jahan
garan hai aab-e-musaffa magar hai arzan KHun
sawal-e-aql wahi hai jawab-e-jehl wahi
hazar bar karun das hazar bar sunun
KHafa hai rang-e-gul-o-mauja-e-saba mujh se
ki bandhta hun dil-e-be-qarar ka mazmun
mujhe to apne pe ek lamha e'tibar nahin
nigar-e-dahr tujhe garche ba-wafa samjhun
hazar raste pinhan hain reg-e-sahra mein
jo dam mein dam ho to is dasht ki hawa dekhun
khula hai aal-e-mohammad ke faiz se mujh par
ki aadmi ko bhi hai iKHtiyar-e-kun-fayakun
buland baad-e-shahadat bhi hai ye nok-e-sinan
sar-e-imam kisi haal bhi nahin hai nigun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.