meri nigah mein har shaKHs be-hijab sa hai
mirī nigāh meñ har shaḳhs be-hijāb sā hai
har ek shaḳhs kā chehra khulī kitāb sā hai
tire qarīb raheñ ham tujhe na dekh sakeñ
hamārī āñkhoñ pe shāyad koī hijāb sā hai
talāsh meñ haiñ sukūñ kī sukūñ nahīñ miltā
hamārā jism bhī ham par koī itaab sā hai
fazā meñ buġhz-o-adāvat kī gard hai raqsāñ
hamāre shahr kā mausam abhī ḳharāb sā hai
phir aaj un ko mirī yaad aa ga.ī 'mashkūr'
phir aaj qalb kī dhaḌkan meñ iztirāb sā hai
meri nigah mein har shaKHs be-hijab sa hai
har ek shaKHs ka chehra khuli kitab sa hai
tere qarib rahen hum tujhe na dekh saken
hamari aankhon pe shayad koi hijab sa hai
talash mein hain sukun ki sukun nahin milta
hamara jism bhi hum par koi itab sa hai
faza mein bughz-o-adawat ki gard hai raqsan
hamare shahr ka mausam abhi KHarab sa hai
phir aaj un ko meri yaad aa gai 'mashkur'
phir aaj qalb ki dhaDkan mein iztirab sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.