meri nigah mein saqi bhi hai sharab bhi hai
mirī nigāh meñ saaqī bhī hai sharāb bhī hai
ki māhtāb bhī hai aur āftāb bhī hai
mujhī ko ḳhanjar-e-qātil ne intiḳhāb kiyā
mirā hī qatl gunah bhī hai aur savāb bhī hai
ḳhudā.ī bhar kā jo hissa thā de diyā mujh ko
mire ġhamoñ kā ilāhī koī hisāb bhī hai
bhulā.e baiThe haiñ 'armāñ' nizām-e-roz-o-shab
mirī nigāh meñ gul-rū bhī hai naqāb bhī hai
meri nigah mein saqi bhi hai sharab bhi hai
ki mahtab bhi hai aur aaftab bhi hai
mujhi ko KHanjar-e-qatil ne intiKHab kiya
mera hi qatl gunah bhi hai aur sawab bhi hai
KHudai bhar ka jo hissa tha de diya mujh ko
mere ghamon ka ilahi koi hisab bhi hai
bhulae baiThe hain 'arman' nizam-e-roz-o-shab
meri nigah mein gul-ru bhi hai naqab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.