meri nigah mein sud-o-ziyan nahin kuchh bhi
mirī nigāh meñ sūd-o-ziyāñ nahīñ kuchh bhī
vahāñ milegā agarche yahāñ nahīñ kuchh bhī
vo mere sāmne hai maiñ nazar meñ huuñ us kī
ab us ke aur mire darmiyāñ nahīñ kuchh bhī
ye kis maqām pe aaya huuñ maiñ ḳhudā jaane
na lab-kushā hai koī īn-o-āñ nahīñ kuchh bhī
ba-rū-e-kār hai jab se ye merā sabr-e-jamīl
mirī nazar meñ ġham-e-bekarāñ nahīñ kuchh bhī
kis ahraman ne diloñ ko siyāh kar Daalā
bashar ke kaan meñ bāñg-e-azāñ nahīñ kuchh bhī
agar ho sa.ī-e-sadāqat ba-nām-e-azm-o-amal
mujhe yaqīñ hai ki phir rā.egāñ nahīñ kuchh bhī
ye terī shān-e-karīmī ye terī jalvagarī
har ek shai se ayaañ hai nihāñ nahīñ kuchh bhī
jo baat dil meñ utar jaa.e vo bayāñ kījiye
jo dil kī tah meñ na utre bayāñ nahīñ kuchh bhī
bashar ko izn hai tasḳhīr-e-kā.enāt kare
ye āsmāñ ye zamīñ kahkashāñ nahīñ kuchh bhī
tire karam kī badaulat hai amn aalam meñ
tirā karam na ho nazm-e-jahāñ nahīñ kuchh bhī
tū apnī shīrīñ-kalāmī se kaam le le agar
to phir zamāne kī ye talḳhiyāñ nahīñ kuchh bhī
jahān-e-ishq meñ haiñ āzmā.isheñ kyā kyā
abhī to 'yās' tirā imtihāñ nahīñ kuchh bhī
meri nigah mein sud-o-ziyan nahin kuchh bhi
wahan milega agarche yahan nahin kuchh bhi
wo mere samne hai main nazar mein hun us ki
ab us ke aur mere darmiyan nahin kuchh bhi
ye kis maqam pe aaya hun main KHuda jaane
na lab-kusha hai koi in-o-an nahin kuchh bhi
ba-ru-e-kar hai jab se ye mera sabr-e-jamil
meri nazar mein gham-e-bekaran nahin kuchh bhi
kis ahraman ne dilon ko siyah kar Dala
bashar ke kan mein bang-e-azan nahin kuchh bhi
agar ho sai-e-sadaqat ba-nam-e-azm-o-amal
mujhe yaqin hai ki phir raegan nahin kuchh bhi
ye teri shan-e-karimi ye teri jalwagari
har ek shai se ayan hai nihan nahin kuchh bhi
jo baat dil mein utar jae wo bayan kijiye
jo dil ki tah mein na utre bayan nahin kuchh bhi
bashar ko izn hai tasKHir-e-kaenat kare
ye aasman ye zamin kahkashan nahin kuchh bhi
tere karam ki badaulat hai amn aalam mein
tera karam na ho nazm-e-jahan nahin kuchh bhi
tu apni shirin-kalami se kaam le le agar
to phir zamane ki ye talKHiyan nahin kuchh bhi
jahan-e-ishq mein hain aazmaishen kya kya
abhi to 'yas' tera imtihan nahin kuchh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.