meri nigah nai aab-o-tab dekhti hai
mirī nigāh na.ī āb-o-tāb dekhtī hai
kabhī sitāra kabhī māhtāb dekhtī hai
maiñ us kī niiñd se dil meñ utarnā chāhtā huuñ
ḳhudā kā shukr ki vo laḌkī ḳhvāb dekhtī hai
zamīñ pe aa ke ye ḳhalq-e-ḳhudā ba-nām-e-ḳhudā
ḳharāb ho ke jahān-e-ḳharāb dekhtī hai
faqat mujhe hī vo dariyā nazar nahīñ aatā
ki reg-e-sahrā bhī aksar sarāb dekhtī hai
bashar ko ḳhvāb dikhātī hai aur ḳhvāboñ meñ
ḳhudā kī aañkh nayā inqilāb dekhtī hai
qalam davāt mire muntazir haiñ muddat se
kitāb uThā.ūñ ki mujh ko kitāb dekhtī hai
kabhī chalī nahīñ 'zahrāb' vo havā mujh meñ
jo shāḳh shāḳh mahakte gulāb dekhtī hai
meri nigah nai aab-o-tab dekhti hai
kabhi sitara kabhi mahtab dekhti hai
main us ki nind se dil mein utarna chahta hun
KHuda ka shukr ki wo laDki KHwab dekhti hai
zamin pe aa ke ye KHalq-e-KHuda ba-nam-e-KHuda
KHarab ho ke jahan-e-KHarab dekhti hai
faqat mujhe hi wo dariya nazar nahin aata
ki reg-e-sahra bhi aksar sarab dekhti hai
bashar ko KHwab dikhati hai aur KHwabon mein
KHuda ki aankh naya inqilab dekhti hai
qalam dawat mere muntazir hain muddat se
kitab uThaun ki mujh ko kitab dekhti hai
kabhi chali nahin 'zahrab' wo hawa mujh mein
jo shaKH shaKH mahakte gulab dekhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.