meri qadim riwayat ko aazmane lage
mirī qadīm rivāyat ko āzmāne lage
muḳhālifīn bhī ab kashtiyāñ jalāne lage
maiñ laḌkhaḌāyā to mujh ko gale lagāne lage
gunāhgār bhī merī hañsī uḌāne lage
dil-e-harīs se ta.amīr kī havas na ga.ī
vo sat.h-e-āb pe kāġhaz kā ghar banāne lage
kisī kī rāh-e-munavvar meñ mo.ajaza ye huā
hamāre naqsh-e-kaf-e-pā bhī jagmagāne lage
na jaane kis kā hameñ intizār rahne lagā
ki tāq-e-dil pe diyā roz ham jalāne lage
hue kuchh itne mohazzab ki saañs ghuTne lagī
junūñ-pasand gale tak baTan lagāne lage
badal gayā hai zamāna bhī dostoñ kī tarah
mire harīf bhī mujh se nazar churāne lage
jinhoñ ne kāñToñ pe chalnā hameñ sikhāyā thā
hamārī raah meñ vo phuul ab bichhāne lage
shurūa ho gayā āñkhoñ meñ jashn-e-ḳhush-ḳhūbī
huī jo raat to har samt shāmiyāne lage
meri qadim riwayat ko aazmane lage
muKHalifin bhi ab kashtiyan jalane lage
main laDkhaDaya to mujh ko gale lagane lage
gunahgar bhi meri hansi uDane lage
dil-e-haris se tamir ki hawas na gai
wo sath-e-ab pe kaghaz ka ghar banane lage
kisi ki rah-e-munawwar mein moajaza ye hua
hamare naqsh-e-kaf-e-pa bhi jagmagane lage
na jaane kis ka hamein intizar rahne laga
ki taq-e-dil pe diya roz hum jalane lage
hue kuchh itne mohazzab ki sans ghuTne lagi
junun-pasand gale tak baTan lagane lage
badal gaya hai zamana bhi doston ki tarah
mere harif bhi mujh se nazar churane lage
jinhon ne kanTon pe chalna hamein sikhaya tha
hamari rah mein wo phul ab bichhane lage
shurua ho gaya aankhon mein jashn-e-KHush-KHubi
hui jo raat to har samt shamiyane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.