meri qismat mein wasl us ka agar ai aasman hota
meri qismat mein wasl us ka agar ai aasman hota
Shankar Lal Shankar
MORE BYShankar Lal Shankar
mirī qismat meñ vasl us kā agar ai āsmāñ hotā
to tū bhī mehrbāñ hotā ḳhudā bhī mehrbāñ hotā
sitam ke baa'd hotā hai karam bhī ye agar sach hai
mire dil par bhī aisā hī sitam ai jān-e-jāñ hotā
balā.eñ le ke dushman mar gayā merī balā samjhe
samajh meñ merī jab aatā tamāshā ye yahāñ hotā
zamīñ par sone vāloñ ko hiqārat se na Thukrātā
hamārī tarah gardish meñ jo tū ai āsmāñ hotā
chaman uudī ghaTā saaqī surāhī aur paimāna
ye sab sāmān hote shaiḳh kā phir imtihāñ hotā
sunā hai fasl-e-gul aa.ī huī phir gulshan-ārā.ī
chaman meñ kaash apnā bhī qafas ai bāġhbāñ hotā
vo merā ro ke kahnā un ke 'shankar' hañs ke farmānā
are ulfat meñ koī bhī nahīñ hai shādmāñ hotā
meri qismat mein wasl us ka agar ai aasman hota
to tu bhi mehrban hota KHuda bhi mehrban hota
sitam ke ba'd hota hai karam bhi ye agar sach hai
mere dil par bhi aisa hi sitam ai jaan-e-jaan hota
balaen le ke dushman mar gaya meri bala samjhe
samajh mein meri jab aata tamasha ye yahan hota
zamin par sone walon ko hiqarat se na Thukraata
hamari tarah gardish mein jo tu ai aasman hota
chaman udi ghaTa saqi surahi aur paimana
ye sab saman hote shaiKH ka phir imtihan hota
suna hai fasl-e-gul aai hui phir gulshan-arai
chaman mein kash apna bhi qafas ai baghban hota
wo mera ro ke kahna un ke 'shankar' hans ke farmana
are ulfat mein koi bhi nahin hai shadman hota
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 53)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.