meri qismat mein wo hai ya nahin hai
mirī qismat meñ vo hai yā nahīñ hai
nujūmī se yahī pūchhā nahīñ hai
bahut hī ḳhūb-sūrat hai zamāna
magar koī tire jaisā nahīñ hai
hameñ to chāñd ne zaḳhmī kiyā hai
mohabbat kā maza mīThā nahīñ hai
ġhazal meñ us ko laanā chāhtā huuñ
vo sheroñ meñ magar Dhaltā nahīñ hai
amānat āñsuoñ kī bah na jaa.e
vo 'arshad' yuuñ gale miltā nahīñ hai
meri qismat mein wo hai ya nahin hai
nujumi se yahi puchha nahin hai
bahut hi KHub-surat hai zamana
magar koi tere jaisa nahin hai
hamein to chand ne zaKHmi kiya hai
mohabbat ka maza miTha nahin hai
ghazal mein us ko lana chahta hun
wo sheron mein magar Dhalta nahin hai
amanat aansuon ki bah na jae
wo 'arshad' yun gale milta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.