meri qurbaton ki KHatir yunhi be-qarar hota
mirī qurbatoñ kī ḳhātir yūñhī be-qarār hotā
jo mirī tarah use bhī kahīñ mujh se pyaar hotā
na vo is tarah badalte na nigāh pher lete
jo na bebasī kā merī unheñ e'tibār hotā
vo kuchh aise Dhaltā mujh meñ ki ġham us ke mere hote
vo jo sogvār hotā to maiñ ashk-bār hotā
mujhe chain lene detī kahāñ inqilābī fitrat
na musāhiboñ meñ hotā na maiñ shah kā yaar hotā
maiñ usī ke naam kartā ye hayāt maut sab kuchh
mujhe zindagī pe 'ālok' agar iḳhtiyār hotā
meri qurbaton ki KHatir yunhi be-qarar hota
jo meri tarah use bhi kahin mujh se pyar hota
na wo is tarah badalte na nigah pher lete
jo na bebasi ka meri unhen e'tibar hota
wo kuchh aise Dhalta mujh mein ki gham us ke mere hote
wo jo sogwar hota to main ashk-bar hota
mujhe chain lene deti kahan inqilabi fitrat
na musahibon mein hota na main shah ka yar hota
main usi ke nam karta ye hayat maut sab kuchh
mujhe zindagi pe 'alok' agar iKHtiyar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.