meri ragon mein jo ek iztirab hai kya hai
mirī ragoñ meñ jo ik iztirāb hai kyā hai
lahū hai raushnī hai inqalāb hai kyā hai
yahī sila hai tirī mehnatoñ kā mehnat-kash
tirī jabīñ pe jo ye āftāb hai kyā hai
ḳhirad ulajhtī rahī aur khulā na rāz-e-hayāt
azaab hai ki ye ne.amat hai ḳhvāb hai kyā hai
ḳhulūs lafzoñ meñ kyoñ hai diloñ meñ kyoñ hai fareb
kisī ke paas kuchh is kā javāb hai kyā hai
nahīñ sharar to hai phir kaun mojid-e-ātish
kaho 'sharar' kā koī sadd-e-bāb hai kyā hai
meri ragon mein jo ek iztirab hai kya hai
lahu hai raushni hai inqalab hai kya hai
yahi sila hai teri mehnaton ka mehnat-kash
teri jabin pe jo ye aaftab hai kya hai
KHirad ulajhti rahi aur khula na raaz-e-hayat
azab hai ki ye neamat hai KHwab hai kya hai
KHulus lafzon mein kyon hai dilon mein kyon hai fareb
kisi ke pas kuchh is ka jawab hai kya hai
nahin sharar to hai phir kaun mojid-e-atish
kaho 'sharar' ka koi sadd-e-bab hai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.