meri ragon mein lahu be-qarar kaisa hai
mirī ragoñ meñ lahū be-qarār kaisā hai
ye sub.h-o-shām mujhe intizār kaisā hai
yahāñ kisī ke bhī aane kī jab umiid nahīñ
to phir ye raah meñ gard-o-ġhubār kaisā hai
maiñ ārzūoñ se pīchhā chhuḌā chukā kab kā
to mere zehn meñ ye intishār kaisā hai
kabhī to band darīchoñ ko khol kar dekho
ki ab ye shor sar-e-rahguzār kaisā hai
meri ragon mein lahu be-qarar kaisa hai
ye subh-o-sham mujhe intizar kaisa hai
yahan kisi ke bhi aane ki jab umid nahin
to phir ye rah mein gard-o-ghubar kaisa hai
main aarzuon se pichha chhuDa chuka kab ka
to mere zehn mein ye intishaar kaisa hai
kabhi to band darichon ko khol kar dekho
ki ab ye shor sar-e-rahguzar kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.