meri rangin-kalami ka hai wo gul pairahan bais
meri rangin-kalami ka hai wo gul pairahan bais
Meer Mohammad Baqar Hazin
MORE BYMeer Mohammad Baqar Hazin
mirī rañgīñ-kalāmī kā hai vo gul pairahan baa.is
ki hove bulbuloñ kī ḳhush-safīrī kā chaman baa.is
koī hotā hai sañg-e-sīna ḳhusrav se raqīboñ kā
huā nāhaq halāk apne kā aapī kohkan baa.is
jo hotā hai kisī se uns sab se vahshat aatī hai
mirī sahrā-nashīnī kā hai merā man-haran baa.is
'hazīñ' un sho.ala-ruḳhsāroñ se jī ko mat lagā hargiz
huī āḳhir ko parvāne ke jalne kī lagan baa.is
meri rangin-kalami ka hai wo gul pairahan bais
ki howe bulbulon ki KHush-safiri ka chaman bais
koi hota hai sang-e-sina KHusraw se raqibon ka
hua nahaq halak apne ka aapi kohkan bais
jo hota hai kisi se uns sab se wahshat aati hai
meri sahra-nashini ka hai mera man-haran bais
'hazin' un shoala-ruKHsaron se ji ko mat laga hargiz
hui aaKHir ko parwane ke jalne ki lagan bais
- Book : Noquush (Pg. B396 E406)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.