meri sada ko hawaen bhi qaid karti hain
mirī sadā ko havā.eñ bhī qaid kartī haiñ
mirī nigah ko fazā.eñ bhī qaid kartī haiñ
jabhī to khul ke barastī haiñ abr kī sūrat
ki mere ashk ghaTā.eñ bhī qaid kartī haiñ
bas ek had hai ki aage nikal nahīñ paate
qadam qadam pe vafā.eñ bhī qaid kartī haiñ
ye ik hisār banātī haiñ chaar sū mere
mujhe to terī duā.eñ bhī qaid kartī haiñ
maiñ terī yaad kī chādar ko oḌh letī huuñ
diloñ ke dard ridā.eñ bhī qaid kartī haiñ
meri sada ko hawaen bhi qaid karti hain
meri nigah ko fazaen bhi qaid karti hain
jabhi to khul ke barasti hain abr ki surat
ki mere ashk ghaTaen bhi qaid karti hain
bas ek had hai ki aage nikal nahin pate
qadam qadam pe wafaen bhi qaid karti hain
ye ek hisar banati hain chaar su mere
mujhe to teri duaen bhi qaid karti hain
main teri yaad ki chadar ko oDh leti hun
dilon ke dard ridaen bhi qaid karti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.