meri sehhat bigaDti ja rahi hai
mirī sehhat bigaḌtī jā rahī hai
ḳhudā ke paas arzī jā rahī hai
badan mauqūf hai ik pairahan par
udāsī ḳhuub pahnī jā rahī hai
tumhārī train aage baḌh chukī hai
mirī āvāz dabtī jā rahī hai
siyah shab meñ darīche band kar ke
tirī tasvīr dekhī jā rahī hai
paḌosī ḳhush bahut ḳhush aaj hoñge
mirī ghar se bigaḌtī jā rahī hai
jise ḳhushbū kī chāhat ho vo dekhe
kahāñ kis samt titlī jā rahī hai
meri sehhat bigaDti ja rahi hai
KHuda ke pas arzi ja rahi hai
badan mauquf hai ek pairahan par
udasi KHub pahni ja rahi hai
tumhaari train aage baDh chuki hai
meri aawaz dabti ja rahi hai
siyah shab mein dariche band kar ke
teri taswir dekhi ja rahi hai
paDosi KHush bahut KHush aaj honge
meri ghar se bigaDti ja rahi hai
jise KHushbu ki chahat ho wo dekhe
kahan kis samt titli ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.