meri shanaKHt ke har naqsh ko miTata hai
mirī shanāḳht ke har naqsh ko miTātā hai
vo mere saa.e ko mujh se judā dikhātā hai
bas ek pal meñ miTā deñgī sar-phirī maujeñ
gharauñde ret ke sāhil pe kyuuñ banātā hai
fazā meñ kamre kī phailī huī hai ik ḳhushbū
ye kaun aa ke kitābeñ mirī sajātā hai
yahī milā hai sila mujh ko haq-parastī kā
ki vaqt neze pe sar ko mire uThātā hai
maiñ us ke ishq meñ aise maqām par huuñ jahāñ
usī kā aks har ik aa.ina dikhātā hai
meri shanaKHt ke har naqsh ko miTata hai
wo mere sae ko mujh se juda dikhata hai
bas ek pal mein miTa dengi sar-phiri maujen
gharaunde ret ke sahil pe kyun banata hai
faza mein kamre ki phaili hui hai ek KHushbu
ye kaun aa ke kitaben meri sajata hai
yahi mila hai sila mujh ko haq-parasti ka
ki waqt neze pe sar ko mere uThata hai
main us ke ishq mein aise maqam par hun jahan
usi ka aks har ek aaina dikhata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.