Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri shanaKHt ke har naqsh ko miTata hai

Rasheeduzzafar

meri shanaKHt ke har naqsh ko miTata hai

Rasheeduzzafar

MORE BYRasheeduzzafar

    mirī shanāḳht ke har naqsh ko miTātā hai

    vo mere saa.e ko mujh se judā dikhātā hai

    bas ek pal meñ miTā deñgī sar-phirī maujeñ

    gharauñde ret ke sāhil pe kyoñ banātā hai

    fazā meñ kamre phailī huī hai ik ḳhushbū

    ye kaun aa ke kitābeñ mirī sajātā hai

    yahī milā hai sila mujh ko haq-parastī

    ki vaqt neze pe sar ko mire uThātā hai

    maiñ us ke ishq meñ aise maqām par huuñ jahāñ

    usī aks har ik ā.īna dikhātā hai

    meri shanaKHt ke har naqsh ko miTata hai

    wo mere sae ko mujh se juda dikhata hai

    bas ek pal mein miTa dengi sar-phiri maujen

    gharaunde ret ke sahil pe kyon banata hai

    faza mein kamre ki phaili hui hai ek KHushbu

    ye kaun aa ke kitaben meri sajata hai

    yahi mila hai sila mujh ko haq-parasti ka

    ki waqt neze pe sar ko mere uThata hai

    main us ke ishq mein aise maqam par hun jahan

    usi ka aks har ek aaina dikhata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now