meri shikast ka kitna ajib manzar tha
mirī shikast kā kitnā ajiib manzar thā
ki qatl maiñ hī huā mere haath ḳhanjar thā
tamām shahr añdheroñ kī nazr kaise huā
abhī to kal hī charāġhāñ yahāñ pe ghar ghar thā
nihattā ho ke maiñ sūraj se kis tarah laḌtā
ki us ke haath meñ kirnoñ kā ek lashkar thā
mire vajūd se qaa.em hai zindagī tū bhī
vagarna mujh meñ koī vasf thā na jauhar thā
maiñ ḳhud se mil na sakā sirf is liye ki 'zafar'
mirā vajūd mire rāste kā patthar thā
meri shikast ka kitna ajib manzar tha
ki qatl main hi hua mere hath KHanjar tha
tamam shahr andheron ki nazr kaise hua
abhi to kal hi charaghan yahan pe ghar ghar tha
nihatta ho ke main suraj se kis tarah laDta
ki us ke hath mein kirnon ka ek lashkar tha
mere wajud se qaem hai zindagi tu bhi
wagarna mujh mein koi wasf tha na jauhar tha
main KHud se mil na saka sirf is liye ki 'zafar'
mera wajud mere raste ka patthar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.