meri shikast ne mujhko bahut tawana kiya
mirī shikast ne mujh ko bahut tavānā kiyā
zamīn-bos huā aur falak nishāna kiyā
savād-e-lafz pe ma.anī kā pairahan rakkhā
uThāyā sher fazā meñ use tarāna kiyā
tarīq-o-taur rakhā ishq meñ ajīb-o-ġharīb
raqīb se bhī marāsim ko mahramāna kiyā
hamīñ the jo ki makāñ-dar-makāñ makīñ na hue
pa tā.eroñ ne jahāñ chāhā āshiyāna kiyā
vo kaun zamzama-pairā huā thā āḳhir-e-shab
ye kis ne āḳhir-e-shab raqs-e-dil-barāna kiyā
ye merī qadr-o-qazā hai ki sar-buland rahā
agarche jo bhī kiyā maiñ ne bāġhiyāna kiyā
hamārā maljā-o-māvā hī kyā ki arz kareñ
tumhāre dast-e-karam ne use ḳhazāna kiyā
ye hast-o-būd kā jab silsila tamām huā
tamām arz-o-samā phir se zar-fishāna kiyā
yaqīn hai ki huā hogā kaise shaqq-e-qamar
yaqīñ hai un ne ajab kār-e-munsifāna kiyā
vo arsh-o-farsh pe zāhir nahīñ ki bātin haiñ
jo un se ishq kiyā ham ne ġhā.ebāna kiyā
'anīs' ishq karo haañ zamīñ se ishq karo
abhī talak jo kiyā tum ne āmirāna kiyā
meri shikast ne mujh ko bahut tawana kiya
zamin-bos hua aur falak nishana kiya
sawad-e-lafz pe mani ka pairahan rakkha
uThaya sher faza mein use tarana kiya
tariq-o-taur rakha ishq mein ajib-o-gharib
raqib se bhi marasim ko mahramana kiya
hamin the jo ki makan-dar-makan makin na hue
pa taeron ne jahan chaha aashiyana kiya
wo kaun zamzama-paira hua tha aaKHir-e-shab
ye kis ne aaKHir-e-shab raqs-e-dil-barana kiya
ye meri qadr-o-qaza hai ki sar-buland raha
agarche jo bhi kiya main ne baghiyana kiya
hamara malja-o-mawa hi kya ki arz karen
tumhaare dast-e-karam ne use KHazana kiya
ye hast-o-bud ka jab silsila tamam hua
tamam arz-o-sama phir se zar-fishana kiya
yaqin hai ki hua hoga kaise shaqq-e-qamar
yaqin hai un ne ajab kar-e-munsifana kiya
wo arsh-o-farsh pe zahir nahin ki baatin hain
jo un se ishq kiya hum ne ghaebana kiya
'anis' ishq karo han zamin se ishq karo
abhi talak jo kiya tum ne aamirana kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.