meri talash ka aaKHir sila kahin to mile
mirī talāsh kā āḳhir sila kahīñ to mile
tumhāre naqsh-e-qadam kā patā kahīñ to mile
taras rahī haiñ umīd-e-bahār meñ āñkheñ
shajar kī god meñ pattā harā kahīñ to mile
na jāneñ kab se huuñ āvāra tapte sahrā meñ
havā kahīñ se bhī aa.e ghaTā kahīñ to mile
isī talāsh meñ jaarī hai zindagī kā safar
sukūn-e-qalb kī ḳhātir davā kahīñ to mile
butoñ ke ghar meñ na kā'be meñ mil sakā 'bahzād'
ḳhudā ke vāste vo bā-ḳhudā kahīñ to mile
meri talash ka aaKHir sila kahin to mile
tumhaare naqsh-e-qadam ka pata kahin to mile
taras rahi hain umid-e-bahaar mein aankhen
shajar ki god mein patta hara kahin to mile
na jaanen kab se hun aawara tapte sahra mein
hawa kahin se bhi aae ghaTa kahin to mile
isi talash mein jari hai zindagi ka safar
sukun-e-qalb ki KHatir dawa kahin to mile
buton ke ghar mein na ka'be mein mil saka 'bahzad'
KHuda ke waste wo ba-KHuda kahin to mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.