meri talash mein har sham har sahar aaya
mirī talāsh meñ har shaam har sahar aaya
mire vajūd meñ kyā jaane kyā nazar aaya
na jaane kaunsā qissa kahā thā dilbar ne
jo un kī bazm se aaya vo chashm-e-tar aaya
usī ke naqsh-e-qadam par ravāñ zamāna hai
vo naqsh-e-pā jo har ik raah meñ ubhar aaya
vajūd se mire inkār karne vāloñ ko
havādisāt ne gherā to yaad farmāyā
sila ye husn-e-amal kā 'hilāl' paayā hai
shajar jo ham ne ugāyā vo be-samar aaya
meri talash mein har sham har sahar aaya
mere wajud mein kya jaane kya nazar aaya
na jaane kaunsa qissa kaha tha dilbar ne
jo un ki bazm se aaya wo chashm-e-tar aaya
usi ke naqsh-e-qadam par rawan zamana hai
wo naqsh-e-pa jo har ek rah mein ubhar aaya
wajud se mere inkar karne walon ko
hawadisat ne ghera to yaad farmaya
sila ye husn-e-amal ka 'hilal' paya hai
shajar jo hum ne ugaya wo be-samar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.