meri talash mein wo raushni ka paikar tha
meri talash mein wo raushni ka paikar tha
Fida-ul-Mustafa Fidwi
MORE BYFida-ul-Mustafa Fidwi
mirī talāsh meñ vo raushnī kā paikar thā
ye aur baat ki maiñ tīrgī kā ḳhūgar thā
kise ḳhabar thī ki koī uqaab sar par thā
abhī abhī to mire sāmne kabūtar thā
mujhe gale se lagāyā thā pheñk kar talvār
magar chhupā.e hue āstīñ meñ ḳhanjar thā
banātā kaun na.e but purāne toḌtā kaun
savād-e-shahr meñ ab ġhaznavī na aazar thā
añdherī raat bayābāñ muhīb sannāTā
bhalā huā ki mirā dāġh-e-dil munavvar thā
meri talash mein wo raushni ka paikar tha
ye aur baat ki main tirgi ka KHugar tha
kise KHabar thi ki koi uqab sar par tha
abhi abhi to mere samne kabutar tha
mujhe gale se lagaya tha phenk kar talwar
magar chhupae hue aastin mein KHanjar tha
banata kaun nae but purane toDta kaun
sawad-e-shahr mein ab ghaznawi na aazar tha
andheri raat bayaban muhib sannaTa
bhala hua ki mera dagh-e-dil munawwar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.