meri talash-o-talab hai nai zamin ke liye
mirī talāsh-o-talab hai na.ī zamīñ ke liye
hai kahkashāñ kī zarūrat tirī jabīñ ke liye
kabhī sitāra-e-zohrā hañsā to maiñ samjhā
mirī nigāh ke bose tirī jabīñ ke liye
zabān-e-sher meñ kahtā huuñ zikr-e-mehnat-o-zar
sadā-e-ām hai yārān-e-nukta-chīñ ke liye
usī kī yaad se ḳhush hai dil-e-hazīñ merā
usī kī yaad qayāmat dil-e-hazīñ ke liye
tumheñ ḳhabar hai ki shabnam ke ashk āvāra
machal rahe haiñ tumhārī hī āstīñ ke liye
dil-e-tabāh ko jangal meñ pheñk do 'rif.at'
ye jins-e-ḳhām na rakkho kisī hasīñ ke liye
meri talash-o-talab hai nai zamin ke liye
hai kahkashan ki zarurat teri jabin ke liye
kabhi sitara-e-zohra hansa to main samjha
meri nigah ke bose teri jabin ke liye
zaban-e-sher mein kahta hun zikr-e-mehnat-o-zar
sada-e-am hai yaran-e-nukta-chin ke liye
usi ki yaad se KHush hai dil-e-hazin mera
usi ki yaad qayamat dil-e-hazin ke liye
tumhein KHabar hai ki shabnam ke ashk aawara
machal rahe hain tumhaari hi aastin ke liye
dil-e-tabah ko jangal mein phenk do 'rifat'
ye jins-e-KHam na rakkho kisi hasin ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.