meri taraf se zara apne dil ko saf karo
mirī taraf se zarā apne dil ko saaf karo
jo ho sake to ḳhatāvār ko mu'āf karo
dil-o-nigāh kī vus'at isī ko kahte haiñ
harīf ke bhī mahāsin kā e'tirāf karo
ba-zor-e-teġh mujhe tum jhukā nahīñ sakte
zamāne-bhar ko saf-ārā mire ḳhilāf karo
nazar jhukā ke mire zikr par sar-e-mahfil
tum ek baar mohabbat kā e'tirāf karo
salīb-o-dār muqaddar haiñ rāst-goī kā
ba-ehtiyāt sadāqat kā inkishāf karo
bajā ho merī har ik baat lāzmī to nahīñ
tumheñ ye haq hai ki tum mujh se iḳhtilāf karo
yahāñ ḳhamoshī-e-ġhairat ko kaun samjhegā
har ik sitam kā sar-e-bazm inkishāf karo
jhulas na jaa.e na.ī paud gulsitāñ kī kahīñ
fazā ko zahr-e-ta’assub se pāk-o-sāf karo
utāro zehn meñ ġhazloñ kī gul-badan pariyāñ
'shabāb' zehn ko har raat koh-e-qāf karo
meri taraf se zara apne dil ko saf karo
jo ho sake to KHatawar ko mu'af karo
dil-o-nigah ki wus'at isi ko kahte hain
harif ke bhi mahasin ka e'tiraf karo
ba-zor-e-tegh mujhe tum jhuka nahin sakte
zamane-bhar ko saf-ara mere KHilaf karo
nazar jhuka ke mere zikr par sar-e-mahfil
tum ek bar mohabbat ka e'tiraf karo
salib-o-dar muqaddar hain rast-goi ka
ba-ehtiyat sadaqat ka inkishaf karo
baja ho meri har ek baat lazmi to nahin
tumhein ye haq hai ki tum mujh se iKHtilaf karo
yahan KHamoshi-e-ghairat ko kaun samjhega
har ek sitam ka sar-e-bazm inkishaf karo
jhulas na jae nai paud gulsitan ki kahin
faza ko zahr-e-ta’assub se pak-o-saf karo
utaro zehn mein ghazlon ki gul-badan pariyan
'shabab' zehn ko har raat koh-e-qaf karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.