meri tarah se kahin KHak chhanta hoga
mirī tarah se kahīñ ḳhaak chhāntā hogā
vo apnī zaat ke sahrā meñ kho gayā hogā
sharār raakh meñ baaqī rahā nahīñ koī
charāġh dil kā mire jal ke bujh gayā hogā
jo merī jhiil sī āñkhoñ meñ Duub Duub gayā
sitāra-vār kahīñ ḳhud ko DhūñDhtā hogā
phir aaj qarya-e-jāñ par azaab utre haiñ
kisī ne phir nayā tarkash sajā liyā hogā
chhalakte jaate haiñ manzar tamām āñkhoñ se
darīcha yaad kā shāyad koī khulā hogā
samā.atoñ pe mirī aaj kaisī dastak hai
koī havā se patā merā pūchhtā hogā
vo shaḳhs merā shanāsā nahīñ to kaun hai vo
kisī ko DhūñDhtā rasta bhaTak gayā hogā
nafas nafas meñ koī āshkār hotā hai
jo mere dil ke qarīñ hai mirā ḳhudā hogā
tirī talāsh meñ vo muntashir huā aisā
surāġh apnā bhī us ko na mil sakā hogā
badaltī rut meñ vo kaisā badal gayā 'shahnāz'
bichhaḌ ke mujh se kabhī vo bhī sochtā hogā
meri tarah se kahin KHak chhanta hoga
wo apni zat ke sahra mein kho gaya hoga
sharar rakh mein baqi raha nahin koi
charagh dil ka mere jal ke bujh gaya hoga
jo meri jhil si aankhon mein Dub Dub gaya
sitara-war kahin KHud ko DhunDhta hoga
phir aaj qarya-e-jaan par azab utre hain
kisi ne phir naya tarkash saja liya hoga
chhalakte jate hain manzar tamam aankhon se
daricha yaad ka shayad koi khula hoga
samaaton pe meri aaj kaisi dastak hai
koi hawa se pata mera puchhta hoga
wo shaKHs mera shanasa nahin to kaun hai wo
kisi ko DhunDhta rasta bhaTak gaya hoga
nafas nafas mein koi aashkar hota hai
jo mere dil ke qarin hai mera KHuda hoga
teri talash mein wo muntashir hua aisa
suragh apna bhi us ko na mil saka hoga
badalti rut mein wo kaisa badal gaya 'shahnaz'
bichhaD ke mujh se kabhi wo bhi sochta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.