meri tishna-labi hai aur main hun
mirī tishna-labī hai aur maiñ huuñ
vahī sūkhī nadī hai aur maiñ huuñ
sukūn-e-zindagī hai aur maiñ huuñ
musalsal bekalī hai aur maiñ huuñ
taḳhayyul sabz hotā jā rahā hai
ināyat aap kī hai aur maiñ huuñ
kiye jaatā huuñ maiñ arz-e-tamannā
tumhārī ḳhāmushī hai aur maiñ huuñ
sar-e-naḳhl-e-tamannā muskurātī
bas ik nannhī kalī hai aur maiñ huuñ
mirī tasvīr pe 'parvāz' un kī
nigāh-e-sarsarī hai aur maiñ huuñ
meri tishna-labi hai aur main hun
wahi sukhi nadi hai aur main hun
sukun-e-zindagi hai aur main hun
musalsal bekali hai aur main hun
taKHayyul sabz hota ja raha hai
inayat aap ki hai aur main hun
kiye jata hun main arz-e-tamanna
tumhaari KHamushi hai aur main hun
sar-e-naKHl-e-tamanna muskuraati
bas ek nannhi kali hai aur main hun
meri taswir pe 'parwaz' un ki
nigah-e-sarsari hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.