meri tum se shanasai bahut hai
mirī tum se shanāsā.ī bahut hai
magar ehsās-e-tanhā.ī bahut hai
bikhar jā.ūñ to ḳhud hī hai simaTnā
ki ye duniyā tamāshā.ī bahut hai
mujhe ġharqāb ho jaane kā hai Dar
sarāb-e-dasht dariyā.ī bahut hai
chalo ab sach bhī kah kar dekhte haiñ
yahāñ shor-e-pazīrā.ī bahut hai
nahīñ vus.at tire dariyā-e-dil meñ
magar āñkhoñ meñ gahrā.ī bahut hai
yahāñ se kuuch karnā hī paḌegā
tire kūche meñ rusvā.ī bahut hai
'asad' mushkil se ghabrātā nahīñ huuñ
dimāġh-o-dil meñ yaktā.ī bahut hai
meri tum se shanasai bahut hai
magar ehsas-e-tanhai bahut hai
bikhar jaun to KHud hi hai simaTna
ki ye duniya tamashai bahut hai
mujhe gharqab ho jaane ka hai Dar
sarab-e-dasht dariyai bahut hai
chalo ab sach bhi kah kar dekhte hain
yahan shor-e-pazirai bahut hai
nahin wusat tere dariya-e-dil mein
magar aankhon mein gahrai bahut hai
yahan se kuch karna hi paDega
tere kuche mein ruswai bahut hai
'asad' mushkil se ghabraata nahin hun
dimagh-o-dil mein yaktai bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.