meri udasi ka naqsh-e-pa hai udas lafzon ka ek jangal
mirī udāsī kā naqsh-e-pā hai udaas lafzoñ kā ek jangal
ye ġham kī rātoñ ko jāntā hai udaas lafzoñ kā ek jangal
kisī kī āñkhoñ meñ dhīre dhīre utar rahā hai namī kā bādal
qalam se kis ke nikal rahā hai udaas lafzoñ kā ek jangal
shikasta kāġhaz par āñsuoñ kā banā huā hai jo ek tālāb
vo merī āñkhoñ se bah rahā hai udaas lafzoñ kā ek jangal
uThā.ī kal raat diary aur maiñ ne kar Daalī nazr-e-ātish
so saath us ke hī jal gayā hai udaas lafzoñ kā ek jangal
ki dil meñ jitnī aziyyateñ thiiñ qalam se 'tāhir' unheñ likhā hai
ġhazal kī sūrat meñ Dhal chukā hai udaas lafzoñ kā ek jangal
meri udasi ka naqsh-e-pa hai udas lafzon ka ek jangal
ye gham ki raaton ko jaanta hai udas lafzon ka ek jangal
kisi ki aankhon mein dhire dhire utar raha hai nami ka baadal
qalam se kis ke nikal raha hai udas lafzon ka ek jangal
shikasta kaghaz par aansuon ka bana hua hai jo ek talab
wo meri aankhon se bah raha hai udas lafzon ka ek jangal
uThai kal raat diary aur main ne kar Dali nazr-e-atish
so sath us ke hi jal gaya hai udas lafzon ka ek jangal
ki dil mein jitni aziyyaten thin qalam se 'tahir' unhen likha hai
ghazal ki surat mein Dhal chuka hai udas lafzon ka ek jangal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.