meri unki nigahen mil rahi hain
mirī un kī nigāheñ mil rahī haiñ
na.ī ulfat kī rāheñ mil rahī haiñ
taḌap uThte haiñ aksar vo bhī sun kar
ab aahoñ ko panāheñ mil rahī haiñ
tirī manzil hai bad-tar but-kadoñ se
ḳhusūsan ḳhān-qāheñ mil rahī haiñ
sabaq letā huuñ har Thokar se apnī
mujhe yuuñ dars-gāheñ mil rahī haiñ
banī jaatī haiñ mehrāb-e-mohabbat
jo añgḌā.ī meñ bāheñ mal rahī haiñ
mujhe kuchh shor-e-nāqūs-o-azāñ se
tire milne kī rāheñ mil rahī haiñ
mileñge dil se ik din vo 'riyāzī'
abhī un se nigāheñ mill rahī haiñ
meri un ki nigahen mil rahi hain
nai ulfat ki rahen mil rahi hain
taDap uThte hain aksar wo bhi sun kar
ab aahon ko panahen mil rahi hain
teri manzil hai bad-tar but-kadon se
KHususan KHan-qahen mil rahi hain
sabaq leta hun har Thokar se apni
mujhe yun dars-gahen mil rahi hain
bani jati hain mehrab-e-mohabbat
jo angDai mein bahen mal rahi hain
mujhe kuchh shor-e-naqus-o-azan se
tere milne ki rahen mil rahi hain
milenge dil se ek din wo 'riyazi'
abhi un se nigahen mill rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.