meri wafa ki wo pahchan bhi nahin rakhte
mirī vafā kī vo pahchān bhī nahīñ rakhte
sila to duur hai ehsān bhī nahīñ rakhte
vo barkatoñ ke farishtoñ ke intizār meñ haiñ
gharoñ meñ apne jo qur.ān bhī nahīñ rakhte
jinheñ ḳhulūs kī ḳhushbū aziiz hotī hai
vo apnī mez pe gul-dān bhī nahīñ rakhte
vo hādsoñ se Darāte haiñ apne bachchoñ ko
diyoñ ke sāmne tūfān bhī nahīñ rakhte
baḌe ajiib musāfir haiñ ham bhī ai 'hāfiz'
safar pe nikle haiñ sāmān bhī nahīñ rakhte
meri wafa ki wo pahchan bhi nahin rakhte
sila to dur hai ehsan bhi nahin rakhte
wo barkaton ke farishton ke intizar mein hain
gharon mein apne jo quran bhi nahin rakhte
jinhen KHulus ki KHushbu aziz hoti hai
wo apni mez pe gul-dan bhi nahin rakhte
wo hadson se Daraate hain apne bachchon ko
diyon ke samne tufan bhi nahin rakhte
baDe ajib musafir hain hum bhi ai 'hafiz'
safar pe nikle hain saman bhi nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.