meri zaban ki ibarat hai guftugu teri
mirī zabāñ kī ibārat hai guftugū terī
mire fasāne kā unvāñ hai aarzū terī
abas ki mujh pe hai ilzām-e-ḳhud-farāmoshī
haram se der meñ laa.ī hai justujū terī
fareb-e-nik.hat-e-gul se bachā ke dāman-e-dil
zabān-e-ḳhār se suntā huuñ guftugū terī
hijāb meñ bhī tujhe be-hijāb dekh liyā
har ek phuul meñ chehra tirā hai bū terī
zamāna tālib-e-dīdār hotā jalva-e-nāz
bachī hai tuur ke jalne se aabrū terī
rahā na parda salāmat jamāl-e-parda-nashīñ
guloñ ne khīñch lī tasvīr hū-ba-hū terī
ġharaz hai dair se mujh ko na fikr ka.abe se
maiñ apne aap meñ kartā huuñ justujū terī
jo dekhā ramz kī āñkhoñ meñ baad marne ke
khiñchī thī putlī meñ tasvīr hū-ba-hū terī
meri zaban ki ibarat hai guftugu teri
mere fasane ka unwan hai aarzu teri
abas ki mujh pe hai ilzam-e-KHud-faramoshi
haram se der mein lai hai justuju teri
fareb-e-nikhat-e-gul se bacha ke daman-e-dil
zaban-e-KHar se sunta hun guftugu teri
hijab mein bhi tujhe be-hijab dekh liya
har ek phul mein chehra tera hai bu teri
zamana talib-e-didar hota jalwa-e-naz
bachi hai tur ke jalne se aabru teri
raha na parda salamat jamal-e-parda-nashin
gulon ne khinch li taswir hu-ba-hu teri
gharaz hai dair se mujh ko na fikr kabe se
main apne aap mein karta hun justuju teri
jo dekha ramz ki aankhon mein baad marne ke
khinchi thi putli mein taswir hu-ba-hu teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.