meri zamin nahin hai tere zaman ke baghair
mirī zamīn nahīñ hai tire zaman ke baġhair
ki phuul khil nahīñ saktā kahīñ chaman ke baġhair
bichhaḌ ga.ī mirī ḳhushbū ujaḌ ga.e ramne
kahāñ se lā.ūñ maiñ naafā tire ḳhutan ke baġhair
pahan to lī hai añgūThī magar ye jāntā huuñ
mirā aqiiq hai lā-shai kisī yaman ke baġhair
mire saran se tirī dauḌ kaash aa ke mile
ki shaam shaam udāsī hai tujh sajan ke baġhair
mire tatār meñ karte haiñ ram ġhazāl tire
kabhī ye dil nahīñ rahtā tirī chubhan ke baġhair
meri zamin nahin hai tere zaman ke baghair
ki phul khil nahin sakta kahin chaman ke baghair
bichhaD gai meri KHushbu ujaD gae ramne
kahan se laun main nafa tere KHutan ke baghair
pahan to li hai anguThi magar ye jaanta hun
mera aqiq hai la-shai kisi yaman ke baghair
mere saran se teri dauD kash aa ke mile
ki sham sham udasi hai tujh sajan ke baghair
mere tatar mein karte hain ram ghazal tere
kabhi ye dil nahin rahta teri chubhan ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.