meri zamin tere aasman se behtar hai
mirī zamīn tire āsmāñ se behtar hai
yaqīñ yaqīñ hai kisī bhī gumāñ se behtar hai
kahāñ nahīñ hai tū jalva-numā ḳhudā mere
ye lā-makānī tirī har makāñ se behtar hai
maiñ us ke saath diloñ ke safar pe rahtā huuñ
ḳhayāl us kā kisī kārvāñ se behtar hai
zarā sā vaqt hai is kā rahe ḳhayāl tumheñ
vahīñ se qissa sunāo jahāñ se behtar hai
guzārī umr hī ab tak na aayā jiinā hameñ
hamārī zindagī jaane kahāñ se behtar hai
duā.eñ denā kisī ko shi.ār ḳhuub sahī
duā.eñ lenā magar apnī maañ se behtar hai
sikhā.e vo use jannat hai jis ke qadmoñ meñ
zabān-e-mādrī har ik zabāñ se behtar hai
meri zamin tere aasman se behtar hai
yaqin yaqin hai kisi bhi guman se behtar hai
kahan nahin hai tu jalwa-numa KHuda mere
ye la-makani teri har makan se behtar hai
main us ke sath dilon ke safar pe rahta hun
KHayal us ka kisi karwan se behtar hai
zara sa waqt hai is ka rahe KHayal tumhein
wahin se qissa sunao jahan se behtar hai
guzari umr hi ab tak na aaya jina hamein
hamari zindagi jaane kahan se behtar hai
duaen dena kisi ko shiar KHub sahi
duaen lena magar apni man se behtar hai
sikhae wo use jannat hai jis ke qadmon mein
zaban-e-madri har ek zaban se behtar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.