Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri zindagi hai sarab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam

Jagdish Prakash

meri zindagi hai sarab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam

Jagdish Prakash

mirī zindagī hai sarāb kabhī maujzan kabhī tishna-dam

kabhī intizār dhuup kabhī qurbatoñ koī bharam

tirī chāhatoñ ye silsila kisī dhuup chhāñv ke khel

kabhī puus maagh dhuup kabhī naġhma-ḳhvāñ kabhī chashm-e-nam

mujhe chhū ke vaqt guzar gayā zarā ruk ke umr nikal ga.ī

jo rahā to paas yahī rahā kabhī apnā dukh kabhī sab ġham

kabhī rāstoñ ke ġhubār meñ kabhī manziloñ ke ḳhumār meñ

kabhī justujū-e-bahār meñ rahe hādsoñ se bañdhe qadam

tirā naam sun ke chalī pavan tirā zikr sun ke khilā chaman

ki mirī savāneh-e-zīst par tirā naam likh ke rukā qalam

ye zarā zarā shikāyateñ kahīñ ban na jaa.eñ hikāyateñ

yahī pūchhte ki huā hai kyā kabhī ham se tum kabhī tum se ham

kabhī qurbatoñ sukūñ milā kabhī furqatoñ junūñ milā

kabhī kho ga.e sabhī rāste kabhī manziloñ se mile qadam

meri zindagi hai sarab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam

kabhi intizar ki dhup si kabhi qurbaton ka koi bharam

teri chahaton ka ye silsila kisi dhup chhanw ke khel sa

kabhi pus magh ki dhup sa kabhi naghma-KHwan kabhi chashm-e-nam

mujhe chhu ke waqt guzar gaya zara ruk ke umr nikal gai

jo raha to pas yahi raha kabhi apna dukh kabhi sab ka gham

kabhi raston ke ghubar mein kabhi manzilon ke KHumar mein

kabhi justuju-e-bahaar mein rahe hadson se bandhe qadam

tera nam sun ke chali pawan tera zikr sun ke khila chaman

ki meri sawaneh-e-zist par tera nam likh ke ruka qalam

ye zara zara si shikayaten kahin ban na jaen hikayaten

yahi puchhte ki hua hai kya kabhi hum se tum kabhi tum se hum

kabhi qurbaton ka sukun mila kabhi furqaton ka junun mila

kabhi kho gae sabhi raste kabhi manzilon se mile qadam

Source :
  • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 555)
  • Author : Aziz Nabeel
  • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
  • Edition : 2013-14
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now