meri zindagi ka sahaara tabassum
mirī zindagī kā sahārā tabassum
tumhārā tabassum tumhārā tabassum
ḳhushī de ke ḳhush-hāl kartā hai mujh ko
tumhāre laboñ kā ye pyārā tabassum
sabhī se mohabbat meñ hañs-hañs ke milnā
inhīñ ādatoñ se sañvārā tabassum
kabhī mīThā-mīThā kabhī khārā-khārā
ajab hai ġhazab hai tumhārā tabassum
samajhdār ko ik ishāra bahut hai
kare jaane kyā kyā ishāra tabassum
mirī jaan le kar hī mānegā ik din
huā jān-levā tumhārā tabassum
tabassum kā chehra bhī utrā huā hai
jo chehre se tum ne utārā tabassum
tabassum se tum tiir maaro diloñ par
kareñ log phir bhī gavāra tabassum
bigāḌo na 'rāshid' tabassum kī aadat
baḌī mushkiloñ se sudhārā tabassum
meri zindagi ka sahaara tabassum
tumhaara tabassum tumhaara tabassum
KHushi de ke KHush-haal karta hai mujh ko
tumhaare labon ka ye pyara tabassum
sabhi se mohabbat mein hans-hans ke milna
inhin aadaton se sanwara tabassum
kabhi miTha-miTha kabhi khaara-khaara
ajab hai ghazab hai tumhaara tabassum
samajhdar ko ek ishaara bahut hai
kare jaane kya kya ishaara tabassum
meri jaan le kar hi manega ek din
hua jaan-lewa tumhaara tabassum
tabassum ka chehra bhi utra hua hai
jo chehre se tum ne utara tabassum
tabassum se tum tir maro dilon par
karen log phir bhi gawara tabassum
bigaDo na 'rashid' tabassum ki aadat
baDi mushkilon se sudhaara tabassum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.