mana ki musht-e-KHak se baDh kar nahin hun main
maanā ki musht-e-ḳhāk se baḌh kar nahīñ huuñ maiñ
lekin havā ke rahm-o-karam par nahīñ huuñ maiñ
insān huuñ dhaḌakte hue dil pe haath rakh
yuuñ Duub kar na dekh samundar nahīñ huuñ maiñ
chehre pe mal rahā huuñ siyāhī nasīb kī
ā.īna haath meñ hai sikandar nahīñ huuñ maiñ
vo lahar huuñ jo pyaas bujhā.e zamīn kī
chamke jo āsmāñ pe vo patthar nahīñ huuñ maiñ
'ġhālib' tirī zamīn meñ likkhī to hai ġhazal
tere qad-e-suḳhan ke barābar nahīñ huuñ maiñ
lafzoñ ne pī liyā hai 'muzaffar' mirā lahū
hañgāma-e-sadā huuñ suḳhan-var nahīñ huuñ maiñ
mana ki musht-e-KHak se baDh kar nahin hun main
lekin hawa ke rahm-o-karam par nahin hun main
insan hun dhaDakte hue dil pe hath rakh
yun Dub kar na dekh samundar nahin hun main
chehre pe mal raha hun siyahi nasib ki
aaina hath mein hai sikandar nahin hun main
wo lahar hun jo pyas bujhae zamin ki
chamke jo aasman pe wo patthar nahin hun main
'ghaalib' teri zamin mein likkhi to hai ghazal
tere qad-e-suKHan ke barabar nahin hun main
lafzon ne pi liya hai 'muzaffar' mera lahu
hangama-e-sada hun suKHan-war nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.