misal-e-aks kunj-e-zat se bahar raha hun main
misāl-e-aks kunj-e-zāt se bāhar rahā huuñ maiñ
ki āp-apne muqābil ā.īna ban kar rahā huuñ maiñ
ajab mausam thā jab qurbat tirī sarmāya-e-jāñ thī
vahī mausam hai aur tark-e-ta.alluq kar rahā huuñ maiñ
tumhārī mushkileñ āsāñ huī haiñ Dūbne vālo!
mujhe dekho ki saarī umr sāhil par rahā huuñ maiñ
isī māmūra-e-ḳhvābīdgāñ shahr-e-ḳhamoshāñ meñ
na jaane zindagī kā svāñg kab se bhar rahā huuñ maiñ
mujhe guzre hue lamhoñ ne itne zaḳhm baḳhshe haiñ
ki jo guzrā nahīñ us lamhe se bhī Dar rahā huuñ maiñ
shikast is ko kahūñ yā fat.h-mandī kah ke ḳhush ho luuñ
ki altāf-e-raqībāñ se bhī bahra-var rahā huuñ maiñ
dar-o-dīvār o saqf-o-bām sab apnī jagah par the
to phir kyā baat thī jis ke sabab be-ghar rahā huuñ maiñ
tirī ḳhātir jo merī ḳhud-fareb āñkhoñ ne dekhe the
unhīñ TuuTe hue ḳhvāboñ kā nauhagar rahā huuñ maiñ
bahut din ba.ad kuchh an-dekhe ḳhvāb utre haiñ āñkhoñ meñ
siyah ḳhāne meñ kyā kyā sham.a raushan kar rahā huuñ maiñ
ajab ahvāl hai dasht-e-talab meñ ḳhud-farebī kā
ki thak kar gir chukā huuñ raah bhī tai kar rahā huuñ maiñ
ye lamha lamha zinda rahne kī ḳhvāhish kā hāsil hai
ki lahza lahza apne-āp hī meñ mar rahā huuñ maiñ
isī nisbat se baḌhtī jā rahī hai tishnagī merī
ki jis sur.at se jām-e-umr ḳhālī kar rahā huuñ maiñ
misal-e-aks kunj-e-zat se bahar raha hun main
ki aap-apne muqabil aaina ban kar raha hun main
ajab mausam tha jab qurbat teri sarmaya-e-jaan thi
wahi mausam hai aur tark-e-talluq kar raha hun main
tumhaari mushkilen aasan hui hain Dubne walo!
mujhe dekho ki sari umr sahil par raha hun main
isi mamura-e-KHwabidgan shahr-e-KHamoshan mein
na jaane zindagi ka swang kab se bhar raha hun main
mujhe guzre hue lamhon ne itne zaKHm baKHshe hain
ki jo guzra nahin us lamhe se bhi Dar raha hun main
shikast is ko kahun ya fath-mandi kah ke KHush ho lun
ki altaf-e-raqiban se bhi bahra-war raha hun main
dar-o-diwar o saqf-o-baam sab apni jagah par the
to phir kya baat thi jis ke sabab be-ghar raha hun main
teri KHatir jo meri KHud-fareb aankhon ne dekhe the
unhin TuTe hue KHwabon ka nauhagar raha hun main
bahut din baad kuchh an-dekhe KHwab utre hain aankhon mein
siyah KHane mein kya kya shama raushan kar raha hun main
ajab ahwal hai dasht-e-talab mein KHud-farebi ka
ki thak kar gir chuka hun rah bhi tai kar raha hun main
ye lamha lamha zinda rahne ki KHwahish ka hasil hai
ki lahza lahza apne-ap hi mein mar raha hun main
isi nisbat se baDhti ja rahi hai tishnagi meri
ki jis surat se jam-e-umr KHali kar raha hun main
- Book : Monthly Usloob (Pg. 554)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.