Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

misal-e-barg-e-shikasta hawa ki zad par hai

Ahmad Azeem

misal-e-barg-e-shikasta hawa ki zad par hai

Ahmad Azeem

MORE BYAhmad Azeem

    misāl-e-barg-e-shikasta havā zad par hai

    koī charāġh akelā havā zad par hai

    amaan DhūñD rahā hai khulā huā paanī

    mohabbatoñ jazīra havā zad par hai

    karāhtī haiñ kisī ke firāq meñ shāmeñ

    dil aisā ek shagūfa havā zad par hai

    manā.eñ ḳhair kaho sāhiloñ se aaj raat

    subuk-ḳhirām dariyā havā zad par hai

    vafūr-e-ranj-e-tamanna se bujhtā jaatā hai

    ki aaj merā chehra havā zad par hai

    fazā meñ ghulne lagīñ ghanTiyoñ āvāzeñ

    kahīñ pe koī kalīsā havā zad par hai

    laboñ pe Duub rahī haiñ darūd chīḳheñ

    duā band darīcha havā zad par hai

    miTī miTī nazar aatī haiñ āyateñ rab

    aqīdatoñ sahīfa havā zad par hai

    misal-e-barg-e-shikasta hawa ki zad par hai

    koi charagh akela hawa ki zad par hai

    aman DhunD raha hai khula hua pani

    mohabbaton ka jazira hawa ki zad par hai

    karahti hain kisi ke firaq mein shamen

    dil aisa ek shagufa hawa ki zad par hai

    manaen KHair kaho sahilon se aaj ki raat

    subuk-KHiram sa dariya hawa ki zad par hai

    wafur-e-ranj-e-tamanna se bujhta jata hai

    ki aaj mera hi chehra hawa ki zad par hai

    faza mein ghulne lagin ghanTiyon ki aawazen

    kahin pe koi kalisa hawa ki zad par hai

    labon pe Dub rahi hain darud ki chiKHen

    dua ka band daricha hawa ki zad par hai

    miTi miTi nazar aati hain aayaten ya rab

    aqidaton ka sahifa hawa ki zad par hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now