misal-e-barg kisi shaKH se jhaDe hue hain
misāl-e-barg kisī shāḳh se jhaḌe hue haiñ
isī liye to tire paañv meñ paḌe hue haiñ
zamīñ ne ūñchā uThāyā huā hai varna dost
havā meñ ghaas ke tinke kahāñ paḌe hue haiñ
kisī ne merī zamīñ chhān kar nahīñ dekhī
vagarna kitne sitāre yahāñ paḌe hue haiñ
yahāñ saroñ pe yūñhī barf aa paḌī varna
baḌe bhī umr se apnī kahāñ baḌe hue haiñ
kisī ke hukm se aisā jumūd taarī hai
zamīñ ravāna huī aur ham khaḌe hue haiñ
misal-e-barg kisi shaKH se jhaDe hue hain
isi liye to tere panw mein paDe hue hain
zamin ne uncha uThaya hua hai warna dost
hawa mein ghas ke tinke kahan paDe hue hain
kisi ne meri zamin chhan kar nahin dekhi
wagarna kitne sitare yahan paDe hue hain
yahan saron pe yunhi barf aa paDi warna
baDe bhi umr se apni kahan baDe hue hain
kisi ke hukm se aisa jumud tari hai
zamin rawana hui aur hum khaDe hue hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 338)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.