misal-e-barg main KHud ko uDana chahti hun
misāl-e-barg maiñ ḳhud ko uḌānā chāhtī huuñ
havā-e-tund pe maskan banānā chāhtī huuñ
vo jin kī āñkhoñ meñ hotā hai zindagī meñ malāl
usī qabīle se ḳhud ko milānā chāhtī huuñ
jahāñ ke band haiñ sadiyoñ se mujh pe darvāze
maiñ ek baar usī ghar meñ jaanā chāhtī huuñ
sitam-shi.ār kī chaukhaT pe adl kī zanjīr
barā-e-dād-rasī ab hilānā chāhtī huuñ
na-jāne kaise guzārūñgī hijr kī saa.at
ghaḌī ko toḌ ke sab bhuul jaanā chāhtī huuñ
masāfatoñ ko mile manzil-e-talab 'naināñ'
vafā kī raah meñ apnā Thikāna chāhtī huuñ
misal-e-barg main KHud ko uDana chahti hun
hawa-e-tund pe maskan banana chahti hun
wo jin ki aankhon mein hota hai zindagi mein malal
usi qabile se KHud ko milana chahti hun
jahan ke band hain sadiyon se mujh pe darwaze
main ek bar usi ghar mein jaana chahti hun
sitam-shiar ki chaukhaT pe adl ki zanjir
bara-e-dad-rasi ab hilana chahti hun
na-jaane kaise guzarungi hijr ki saat
ghaDi ko toD ke sab bhul jaana chahti hun
masafaton ko mile manzil-e-talab 'nainan'
wafa ki rah mein apna Thikana chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.