misal-e-dast-e-zuleKHa tapak chahta hai
misāl-e-dast-e-zuleḳhā tapāk chāhtā hai
ye dil bhī dāman-e-yūsuf hai chaak chāhtā hai
duā.eñ do mire qātil ko tum ki shahr kā shahr
usī ke haath se honā halāk chāhtā hai
fasāna-go bhī kare kyā ki har koī sar-e-bazm
ma.āl-e-qissa-e-dil dardnāk chāhtā hai
idhar udhar se ka.ī aa rahī haiñ āvāzeñ
aur us kā dhyān bahut inhimāk chāhtā hai
zarā sī gard-e-havas dil pe lāzmī hai 'farāz'
vo ishq kyā hai jo dāman ko paak chāhtā hai
misal-e-dast-e-zuleKHa tapak chahta hai
ye dil bhi daman-e-yusuf hai chaak chahta hai
duaen do mere qatil ko tum ki shahr ka shahr
usi ke hath se hona halak chahta hai
fasana-go bhi kare kya ki har koi sar-e-bazm
maal-e-qissa-e-dil dardnak chahta hai
idhar udhar se kai aa rahi hain aawazen
aur us ka dhyan bahut inhimak chahta hai
zara si gard-e-hawas dil pe lazmi hai 'faraaz'
wo ishq kya hai jo daman ko pak chahta hai
- Book : kulliyate ahmad faraaz (Pg. 1096)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.