misal-e-gard mizaj-e-hayat barham hai
misāl-e-gard mizāj-e-hayāt barham hai
amal bahut hai magar maqsad-e-amal kam hai
bajā hai lazzat-e-sher-o-sharāb-o-naġhma-o-rang
magar ye ḳhalvat-e-jalva-numā bhī kyā kam hai
dayār-e-huzn se aage hai sarzamīn-e-nashāt
hazār haif magar vus.at-e-nazar kam hai
dayār-e-dil ke liye rāste bahut lekin
rah-e-ḳhulūs se jaao to fāsla kam hai
uḌā uḌā sā hai rang-e-ruḳh-e-zamāna 'qamar'
rag-e-hayāt meñ iḳhlās kā lahū kam hai
misal-e-gard mizaj-e-hayat barham hai
amal bahut hai magar maqsad-e-amal kam hai
baja hai lazzat-e-sher-o-sharab-o-naghma-o-rang
magar ye KHalwat-e-jalwa-numa bhi kya kam hai
dayar-e-huzn se aage hai sarzamin-e-nashat
hazar haif magar wusat-e-nazar kam hai
dayar-e-dil ke liye raste bahut lekin
rah-e-KHulus se jao to fasla kam hai
uDa uDa sa hai rang-e-ruKH-e-zamana 'qamar'
rag-e-hayat mein iKHlas ka lahu kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.