misal-e-ishq talab ki jo usne tashrihan
misāl-e-ishq talab kī jo us ne tashrīhan
bayān kar diyā ahvāl-e-qais tafsīlan
ḳhabar nahīñ ki nikal jaa.eñ ham kidhar tab.an
so kar diyā gayā pāband ham ko qānūnan
samajh meñ aa.e jo aisā kareñ vo majbūran
hudūd toḌte rahte haiñ log tafrīhan
use murīd samajhte haiñ ye ḳhizr-sūrat
koī salām bhī kar de unheñ jo ta.azīman
kiyā savāl ye jab bhī ki merā kaam huā
milā javāb ki bas ho gayā hai taqrīban
misal-e-ishq talab ki jo us ne tashrihan
bayan kar diya ahwal-e-qais tafsilan
KHabar nahin ki nikal jaen hum kidhar taban
so kar diya gaya paband hum ko qanunan
samajh mein aae jo aisa karen wo majburan
hudud toDte rahte hain log tafrihan
use murid samajhte hain ye KHizr-surat
koi salam bhi kar de unhen jo taziman
kiya sawal ye jab bhi ki mera kaam hua
mila jawab ki bas ho gaya hai taqriban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.