misal-e-mauj-e-nasim-e-bahaar guzri hai
misāl-e-mauj-e-nasīm-e-bahār guzrī hai
vo zindagī jo sar-e-kū-e-yār guzrī hai
vo ik nigāh jo paiġhām-e-sad-nashāt bhī hai
na jaane kyoñ vo mire dil pe baar guzrī hai
vo tishnagī jo sar-e-mai-kada nikharnā thī
vo tishnagī bhī yūñhī be-bahār guzrī hai
abhī abhī to na aa ai ḳhayāl-e-āmad-e-yār
abhī abhī to shab-e-intizār guzrī hai
hameñ to un kī nigāhoñ kā e.atibār nahīñ
jo kah rahe haiñ idhar se bahār guzrī hai
tamām umr kiyā un kā intizār 'aḳhtar'
tamām umr baḌī be-qarār guzrī hai
misal-e-mauj-e-nasim-e-bahaar guzri hai
wo zindagi jo sar-e-ku-e-yar guzri hai
wo ek nigah jo paigham-e-sad-nashat bhi hai
na jaane kyon wo mere dil pe bar guzri hai
wo tishnagi jo sar-e-mai-kada nikharna thi
wo tishnagi bhi yunhi be-bahaar guzri hai
abhi abhi to na aa ai KHayal-e-amad-e-yar
abhi abhi to shab-e-intizar guzri hai
hamein to un ki nigahon ka eatibar nahin
jo kah rahe hain idhar se bahaar guzri hai
tamam umr kiya un ka intizar 'aKHtar'
tamam umr baDi be-qarar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.