Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

misal-e-mushk mujassam ghazal ki KHushbu

Zakiya Shaikh Meena

misal-e-mushk mujassam ghazal ki KHushbu

Zakiya Shaikh Meena

MORE BYZakiya Shaikh Meena

    misāl-e-mushk mujassam ġhazāl ḳhushbū

    kahāñ guloñ meñ hai us be-misāl ḳhushbū

    dahaktī jaa.e taḳhayyul meñ ḳhadd-o-ḳhāl aañch

    mashām-e-jāñ meñ hai mahke jamāl ḳhushbū

    tabī.atoñ meñ takabbur anā tā-vaqteki

    lahū meñ dauḌe rizq-e-halāl ḳhushbū

    shaguftagī ke havāle haiñ saarī shāḳhoñ par

    chaman meñ bikhrī hai tere maqāl ḳhushbū

    ka.ī darīche muāfī ke khol detī hai

    nazar se uThtī huī infi.āl ḳhushbū

    to kyā ki qurb mayassar nahīñ pa bistar

    shikan shikan meñ hai dahke visāl ḳhushbū

    kalām-e-fan pe na maġhrūr ho kabhī 'mīnā'

    urūj-e-fan meñ mahke zavāl ḳhushbū

    misal-e-mushk mujassam ghazal ki KHushbu

    kahan gulon mein hai us be-misal ki KHushbu

    dahakti jae taKHayyul mein KHadd-o-KHal ki aanch

    masham-e-jaan mein hai mahke jamal ki KHushbu

    tabiaton mein takabbur ana ta-waqteki

    lahu mein dauDe na rizq-e-halal ki KHushbu

    shaguftagi ke hawale hain sari shaKHon par

    chaman mein bikhri hai tere maqal ki KHushbu

    kai dariche muafi ke khol deti hai

    nazar se uThti hui infial ki KHushbu

    to kya ki qurb mayassar nahin pa bistar ki

    shikan shikan mein hai dahke visal ki KHushbu

    kalam-e-fan pe na maghrur ho kabhi 'mina'

    uruj-e-fan mein hi mahke zawal ki KHushbu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now