misali duniya mein ji raha hun
misālī duniyā meñ jī rahā huuñ
ḳhayālī duniyā meñ jī rahā huuñ
tamām chehroñ pe tīrgī hai
maiñ kaalī duniyā meñ jī rahā huuñ
zabān sho.ale ugal rahī hai
jalālī duniyā meñ jī rahā huuñ
tamām manzar badal chuke haiñ
maiñ ḳhālī duniyā meñ jī rahā huuñ
maiñ apne ḳhvāboñ ke gul sajā.e
nirālī duniyā meñ jī rahā huuñ
har ek kāsa-ba-dast manzar
savālī duniyā meñ jī rahā huuñ
misali duniya mein ji raha hun
KHayali duniya mein ji raha hun
tamam chehron pe tirgi hai
main kali duniya mein ji raha hun
zaban shoale ugal rahi hai
jalali duniya mein ji raha hun
tamam manzar badal chuke hain
main KHali duniya mein ji raha hun
main apne KHwabon ke gul sajae
nirali duniya mein ji raha hun
har ek kasa-ba-dast manzar
sawali duniya mein ji raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.